Tapish bahot hai aaj hawa me
Ghule na zeher kahi aaj fiza me
Dara hua har mazhab tha
Laga khafa-khafa sa rab tha
Khaufzada tha har chehra us din
Chauraho par sannata bhara tha
Mazhabi nafrat k syaah badal chane wale the
Ek pal ko laga mere dost kahi dur jane wale the
Purane kale saayon k manzar bhi nazar ane lage the
Roti dharti ma k aansu fir se dil dukhane lage the
Ek lahoo k do rang sab banana me lage the
Pakke the jo dhage usme gaanth lagane lage the
Kaun ram hai kaun hai allah
Meri uljhan suljha de koi
Mera mazhab mujhe batla de koi
Sabke lahoo ka ek rang bana de koi
Unko khuda se mila jinko “Allah” ki talash
Mila de use bhagwaan se jise ho “Ram” ki aas
Mara agar tha Ram yahan par
Jalna Raheem ko bhi pada tha
Royi agar thi Ammi to..
Roya Ma ka bhi dil tha
Dilo se uthti dhadkan kuch baat sunati hai
Aangan galiyon chauraho se awaaz ati hai
Ek tha ye mulk- ise ek hi rang do
Har kaum ko bas ek tirange ka hi dhal do
Wapas se is “Hind” ko Ekta ki Umang do…..
Wednesday, November 17, 2010
PURANI DIARY
Wo meri athkheliyan-meri muskaan, kyu na rahi ab unse pechan,
Dadi ma ke kisso ki wo raatien – dada ji sang sair sapatein
Nani ma ki mishri mithai – mama ji sang laad aur ladai
aisi kya bhul hui thi mujhse – door kar diya mujhe yu sabse
Fir aaj yaad aya mujhe wo yaadon ka zamana
Jab khola maine apni diary ka wahi page purana
Jaha khele the khel suhare aur seekha tha dost banana
Kaam se Ma ka tang aa k gusse se chidhchidana
Aur fir suru ho jata papa ka unko pyar se manana
Rinku dada k wahi lecture purana
Gudiya didi k wahi shopping k bahana
bhaiya k ghar ate hi driving sikhane ki zidd machana
Jane kya bhul hui thi mujhse – door kar diya mujhe yu sabse
Canteen me baithe humara ghanto batlana
Boring lectures se always peecha chudana
chaha tha sara aakash muththi me chupana
wo mera pehla crush aur barish ka mausam suhana
fir yaad aa gaya aaj wo bichda dost purana
wo lectures me hooting aur fresher s ki ragging
wo suspensions ki dopahar me lambi wali waiting
wo casual si baatien wo pani puri aur batashe
sang sang wo dosto k picnic manana
mera bindass yu chillana,pairo par tha sara zamana
wo breakup ka drama,aur bol k chup ho jana
kabhi papa se khit-pit,kabhi ma ka ruthna manana
jane kya bhul hui thi mujhse,dur kar diya mujhe yu sabse
haantho me jab degree payi,ankh meri yu chalak thi ayi
khusi se jyada udaasi ka tha wo manzar
yaad hai ab bhi wo sabka rona lipatkar
door ja rahi thi meri zindgi sisak kar
reh gaye wo din bas dhundhli yaad banker
yaad aate ho mere dost tum aksar..

Subscribe to:
Comments (Atom)